Ek aakaarheen aur asthaayi vichaar
Aniyamittaoon ke beech apna roop dhoondhta hua,
Hai laghu par Nirbal nahin,
Hai aviksit par asahaay nahin,
Hai chanchal, Hai kushal, Hai udaar,
Hai dridh, Hai nirantar, Hai prabhavshaali
Jab samay ke saath sab kuchh parivartansheel hai, Kaumrya se pehle sambhavtah ye bhi parivartit hoga
Antatah kisi kriya me badal jaayega, jiska parinaam main bhogunga.
Na jaane kitne asankhya vichaar din pratidin aate hain is mastishk me, aur mujhse kya kya karvaate hain...
Ye vichaar hi meri aadhaarshila ke stambh hain, ye hi mujhe Vidwaan banate hain......
No comments:
Post a Comment